Zameen-o-Zaman Tumhare Liye Makeen-o-Makan Tumhare Liye
Chuneen-o-Chunaan Tumhare Liye Bane Do Jahan Tumhare Liye
Dahan Mein Zuban Tumhare Liye Badan Mein Hai Jaan Tumhare Liye
Ham Aaye Yahan Tumhare Liye Uthein Bhi Wahan Tumhare Liye
Farishte Khidam Rasool-e-Hasham Tamam Umam Ghulam-e-Karam
Wujood-o-Adam Hudoot-o-Qidam Jahan Mein Ayan Tumhare Liye
Kaleem-o-Naji Maseeh-o-Safi Khaleel-o-Razi Rasool-o-Nabi
Atiq-o-Wasi Ghani-o-Ali Sana Ki Zuban Tumhare Liye
Asalat-e-Kul Imamat-e-Kul Siyadat-e-Kul Imarat-e-Kul
Hukoomat-e-Kul Wilayat-e-Kul Yahan Ke Kahan Tumhare Liye
Tumhari Chamak Tumhari Damak Tumhari Jhalak Tumhari Mehak
Zameen-o-Falak Samak-o-Samak Mein Sikka Nishan Tumhare Liye
Woh Gunzar-e-Nahan Yeh Noor-e-Fishan Woh Gun Se Ayan Yeh Bazm-e-Fukan
Yeh Har Tan-o-Jaan Yeh Bagh-e-Jinan Yeh Sara Saman Tumhare Liye
Zuhoor-e-Nahan Qayam-e-Jahan Rukoo-e-Mahan Sujood-e-Shahan
Niyazein Yahan Namazein Wahan Yeh Kis Ke Liye Haan Tumhare Liye
Yeh Shams-o-Qamar Yeh Sham-o-Sahar Yeh Barg-o-Shajar Yeh Bagh-o-Samar
Yeh Tegh-o-Sipar Yeh Taj-o-Kamar Yeh Hukm-e-Rawan Tumhare Liye
Yeh Faiz Diye Woh Jood Kiye Ke Naam Liye Zamana Jiye
Jahan Ne Liye Tumhare Diye Yeh Ikramiyan Tumhare Liye
Sahab-e-Karam Rawana Kiye Ke Aab-e-Niam Zamana Piye
Jo Rakhte The Hum Woh Chaak-e-Seh Yeh Satr-e-Badaan Tumhare Liye
Sana Ka Nishan Woh Noor-e-Fishan Ke Mehar-o-Shahan Ba-Ham-Ma-Shahan
Basa Yeh Kashan Mawakib-e-Shahan Yeh Naam-o-Nishan Tumhare Liye
Ata-e-Arab Jalaye Garab Fuyooz-e-Ajab Baghair-e-Talab
Yeh Rahmat-e-Rab Hai Kis Ke Sabab Barab-e-Jahan Tumhare Liye
Zunub-e-Fana Uyoob-e-Haba Quloob-e-Safa Khutoob-e-Rawa
Yeh Khoob-e-Ata Garup-e-Zada Paye Dil-o-Jaan Tumhare Liye
Na Jin-o-Bashar Ke Aathon Pahar Malaika Dar Pe Basta Kamar
Na Jubba-o-Sar Ke Qalb-o-Jigar Hain Sajda Gunan Tumhare Liye
Na Rooh-e-Ameen Na Arsh-e-Bareen Na Lauh-e-Mubeen Koi Bhi Kahin
Khabar Hi Nahin Jo Ramrein Khulein Azal Ki Nahan Tumhare Liye
Jinan Mein Chaman Chaman Mein Saman Saman Mein Phaban Phaban Mein Dahan
Sazaye Mehan Pe Aise Mian Yeh Aman-o-Amaan Tumhare Liye
Kamal-e-Mahan Jalal-e-Shahan Jamal-e-Jahan Mein Tum Ho Ayan
Ke Sare Jahan Mein Roz-e-Fukan Zill-e-Aaina Saan Tumhare Liye
Yeh toor gaya sipehr to kya ke arsh-e-ala bhi door raha
Jihat se wara visal-e-mila yeh rifat-e-shaan tumhare liye
Khaleel-o-Naji, Maseeh-o-Safi sabhi se kahi kahin bhi bani
Yeh be-khabri ke khalq phiri kahan se kahan tumhare liye
Baqaw-e-sada yeh bandha yeh sidra utha woh arsh jhuka
Safoof-e-sama ne sajda kiya hui jo azan tumhare liye
Yeh rehmatein ke kachi matein na chhorein letin na apni gatain
Qusoor karein aur un se bharein qusoor-e-jinan tumhare liye
Fana badarat baqa baras za har do jihat bagzar saris
Hai markaziyat tumhari sifat ke dono kaman tumhare liye
Ishare se chand cheer diya chhupe hue khwar ko pher liya
Gaye hue din ko asr kiya yeh tab-o-tawan tumhare liye
Saba woh chale ke bagh phale woh phool khile ke din hon bhale
Lawa ke tale sana mein khile Raza ki zaban tumhare liye