Aah ab waqt-e-rukhsat hai aaya, alwida aah shah-e-madina
sadma-e-hijr kaise sahoon ga, alwida aah shah-e-madina
be-qarari barhi ja rahi hai, hijr ki ab ghari aa rahi hai
dil huwa jata hai para para, alwida aah shah-e-madina
kis tarah shauq se main chala tha, dil ka ghuncha khushi se khula tha
aah! ab chhoot-ta hai madina, alwida aah shah-e-madina
kooye janan ki rangeen fizao! ae mu'attar mu'attar huwao!
lo salam-e-aakhri ab hamara, alwida aah shah-e-madina
kaash! qismat mera saath deti, maut bhi yawari meri karti
jaan qadmon pe qurban karta, alwida aah shah-e-madina
soz-e-ulfat se jalta rahoon main, ishq mein tere ghulta rahoon main
chahe deewana samjhe zamana, alwida aah shah-e-madina
main jahan bhi rahoon mere aaqa! ho nazar mein madine ka jalwa
altaja meri maqbool farma, alwida aah shah-e-madina
kuch na husn-e-amal kar saka hoon, nazr chand ashk mein kar raha hoon
bas yahi hai mera kul asasa, alwida aah shah-e-madina
aankh se ab huwa khoon jaari, rooh par bhi huwa ranj taari
jald attar ko phir bulana, alwida aah shah-e-madina