Aah pura mere dil ka kabhi arman hoga
Kabhi dil jalwa-gah-e-Sarwar-e-Khuban hoga
Mere dil par jo kabhi jalwa-e-Janan hoga
Lam'a-e-noor mere rukh se numayan hoga
Jalwa-e-Mus'haf-e-rukh dil mein jo pinhan hoga
Paaray paaray mein mere qalb ke Qur'an hoga
Chaundh jaaye gi teri aankh bhi Mehr-e-Mahshar
Un ke zarra ko jo dekhe ga parishan hoga
Dekh mat dekh mujhe garm nazar se Khawar
Shokhi-e-chashm se toh aap parishan hoga
Husn woh paaya hai Khursheed-e-Risalat tu ne
Tere deedar ka talib Mah-e-Kan'aan hoga
Jalwa-e-husn-e-jahan-tab ka kya haal kahoon
Aaina bhi tumhein dekh ke hairan hoga
Kaun poochay ga bhala roz-e-jaza woh bhi mujhay
Un ki rehmat ke siwa koi pursan hoga
Chaak-e-taqdeer ko kya sozan-e-tadbeer se
Laakh woh bakhiya karay chaak-e-gareban hoga
Mujh ko dawa nahi ismat ka magar be-mauqa
Aib joi na karay ga jo sukhan-daan hoga
Dil-e-dushman ke liye tegh-e-do paikar hai sukhan
Chashm-e-hasid ko mera sher namak-daan hoga
Umar saari toh kati aahu mein apni Noori
Kab Madinay ki taraf kooch ka saman hoga