Aaina munfa'il teray jalway ke samnay
Sajid hain mehr o mah teray talway ke samnay
Jari hai hukum yeh ke do para qamar hua
Angusht-e-Mustafa ke isharay ke samnay
Kyon dar-ba-dar faqir tumhara karay sawal
Jab tum ho bheek mangnay walay ke samnay
Yeh woh kareem hain ke jo maango wohi milay
Usay sail o chalo to dua lay ke samnay
Mangta ki arz Shah-e-Madina qabool ho
Turbat bani ho aap ke rozay ke samnay