Aaj hai jashn-e-wilaadat Marhaba Ya Mustafa
Aaj aaye jaan-e-rehmat Marhaba Ya Mustafa
Marhaba mehr-e-risalat Marhaba Ya Mustafa
Marhaba mah-e-nabuwwat Marhaba Ya Mustafa
Aamad-e-Shah-e-Madeena Marhaba sad marhaba
Marhaba ae jaan-e-rehmat Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Aaqa ki aamad Marhaba noor-e-Khuda
Ho gayi kafoor zulmat Marhaba Ya Mustafa
Aaj duniya mein wilaadat-e-Mustafa ki ho gayi
Khoob chamki apni qismat Marhaba Ya Mustafa
Ka'ba sajde ko jhuka but saare oundhe gir pade
Aagayi shaitaan ki shamat Marhaba Ya Mustafa
Aa gaye sarkar har su baarish-e-anwar hai
Jhoomte hain abr-e-rehmat marhaba ya Mustafa
Chaar su hain rehmaton ki kya chhama chham baarishein!
Aa gaye lamhaat-e-musarrat marhaba ya Mustafa
Marhaba ki dhoom daalo sab pukaaro marhaba
Jhoom kar ahl-e-mohabbat marhaba ya Mustafa
Aaj ghar ghar roshni hai sabz parcham hain buland
Jhoomte hain ahl-e-sunnat marhaba ya Mustafa
Eid-e-Miladun-Nabi toh eid ki bhi eid hai
Shadman hai khud musarrat marhaba ya Mustafa
Jashn-e-Miladun-Nabi ki dhoom hai chaaron taraf
Mast hain ahl-e-mohabbat marhaba ya Mustafa
Khoob gaati thin taraane daf baja kar bachiyan
Har taraf kehti thi khilqat marhaba ya Mustafa
Aagayi utho sawari Aamina ke laal ki
Un se maango unki ulfat marhaba ya Mustafa
Le ke kashkol ae faqiro Aamina ke ghar chalo
Maang lo jo chaaho nemat marhaba ya Mustafa
Ya Nabi! Apni wiladat ki khushi mein dijiye
Khuld mein apni rifaqat marhaba ya Mustafa
Waasta tum ko wiladat ka Madeene mein jagah
Mujh ko de do bahr-e-turbat marhaba ya Mustafa
De do tum Attar ko eidi mein chashm-e-ashkbaar
Apna gham do apni ulfat marhaba ya Mustafa