Aao madani qafiley mein hum karein mil kar safar
Sunnatain seekhein ge is mein insha Allah sar-ba-sar
Teen teen aur barah barah din ke madani qafiley
Mein safar karte raho jab bhi tumhein mauqa miley
Mujh ko jazba de safar karta rahoon parwardigar
Sunnaton ki tarbiyat ke qafiley mein baar baar
Jhoot ghibat aur chughli se jo bachna chahey woh
Khoob madani qafilon mein dil laga jaye woh
Jo bhi shaidai hai madani qafilon ka ya khuda
Do jahan mein us ka bera paar farma ya khuda
Teen din har mah jo apnaye madani qafila
Be hisab us ka khudaya khuld mein ho dakhila
Tu wali apna bana le us ko rabbi lam yazal
Madani inamaat par karta hai jo koi amal
Jo gunahon ke marz se tang hai bezaar hai
Qafila-e-Attar us ke wastay tayyar hai