Aashiq-e-Mustafa Zia-ud-Din
Zahid-o-parsa Zia-ud-Din
Dilkash-o-dilkusha Zia-ud-Din
Mere dil ki ziya, Zia-ud-Din
Tum ko Qutb-e-Madina ya Murshid!
Ulama ne kaha Zia-ud-Din
Yeh sharaf kam nahi hai mere liye
Hoon mureed aapka Zia-ud-Din
Mujh ko apna banao deewana
Wasta Ghous ka Zia-ud-Din
Chashm-e-rahmat banoye man Murshid!
Az tufail-e-Raza Zia-ud-Din
Aisa kar de karam rahein ya Rab!
Mujh se raazi sada Zia-ud-Din
Kaise bhatkun ga mere hain mere
Rehbar-o-rehnuma Zia-ud-Din
Ek muddat se aankh pyasi hai
Apna jalwa dikha Zia-ud-Din
Marz-e-isyaan se neem jaan hoon main
Mujh ko deed-o-shifa Zia-ud-Din
Chashm-e-tar aur qalb-e-muztar do
Sadqa Hasnain ka Zia-ud-Din
Meri sab mushkilein hon hal Murshid
Mere mushkil kusha Zia-ud-Din
Poun so saal tak Madeene mein tum ne bani ziya, Zia-ud-Din
Jaam-e-ishq-e-Nabi pila ke mujhe mast-o-be-khud bana Zia-ud-Din
Mere dushman hain khoon ke pyase mujh ko un se bacha Zia-ud-Din
Aah! Toofan mein hai ghiri naiya ae mere nakhuda Zia-ud-Din
Maut aaye mujhe Madeene mein kar do haq se dua Zia-ud-Din
Mujh ko deed-e-Baqi-e-Gharqad mein apne qadmon mein ja Zia-ud-Din
Hashr mein dekh kar pukaron ga marhaba marhaba Zia-ud-Din
Mustafa ka pados jannat mein mujh ko haq se dila Zia-ud-Din
Be-amal hi sahi magar Attar
Kis ka hai? Aapka Zia-ud-Din