Aayen Ge Suntain Jayen Gi Shamatein, Deeni Mahol Mein Kar Lo Tum Aitikaaf
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
(Yeh ba-qaida nazm nahin, Faizan-e-Sunnat jild awwal ke baab 'Faizan-e-Ramadan' ke juzw Faizan-e-Aitikaaf ki mukhtalif madani baharon waghera ke aakhir mein likhay huay ashaar kahein kahein tarmeem ke sath yakja kiye gaye hain)
Aayen ge sunnatain jayen gi shamatein, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Tum sudhar jao ge, pao ge barkatein, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Jalwa-e-yaar ki aarzoo hai agar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Baithey Aaqa karein ge karam ki nazar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Maraz-e-isyan se chutkara chaho agar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Aao aao idhar aao, jao na udhar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Chot kha jaye ga ek na ek roz dil, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Fazl-e-Rabb se hidayat bhi jaye gi mil, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Fazl-e-Rabb se gunahon ki kalak dhulay, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Nekiyon ka tumhein khoob jazba milay, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Garche dil mein hai fashion ki ulfat bhari, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Umar-e-ayinda guzray gi sunnat bhari, deeni mahol mein kar lo tum aitikaaf
Bhai gar chahte ho namazein parho, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Nikiyon mein tamanna hai aage barhon, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Tum ko rahat ki nemat agar chahiye, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Bandagi ki bhi lizzat agar chahiye, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Mot fazl-e-Khuda se ho iman par, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rab ki rehmat se jannat mein paoge ghar, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rehmatain lootne ke liye aao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sunnatein seekhne ke liye aao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Gar tamanna hai Aaqa ke deedar ki, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Hogi meethi nazar tum pe sarkar ki, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Aao aa kar gunahon se tauba karo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rehmat-e-Haq se daman tum aa kar bharo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Khatm hogi shararat ki aadat chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Door hogi gunahon ki shamat chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Bigre akhlaq sare sanwar jayenge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Bas maza kya maze ko maze aayenge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Walwala deen ki tabligh ka paoge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Fazl-e-Rab se zamane pe chha jaoge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Hub-e-dunya se dil paak ho jayega, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Jaam-e-Ishq-e-Muhammad bhi haath aayega, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sunnatein khane khane ki tum jaan lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Man lo baat ab to meri maan lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Lene khairat tum rehmaton ki chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Lootne barkatain sunnaton ki chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Pyare islami bhai chale aao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Khali daman muradon se bhar jao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Meethe Aaqa ki ulfat ka jazba mile, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Darhi rakhne ki sunnat ka jazba mile, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
InshaAllah har kaam hoga bhala, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Door hogi bafazl-e-Khuda har bala, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Seekhne ko milengi tumhein sunnatain, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Loot lo aa kar Allah ki rehmatain, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Geet gaane ki aadat nikal jayegi, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Be-ja bak-bak ki khaslat bhi tal jayegi, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sari fashion ki masti utar jayegi, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Zindagi sunnaton se nikhar jayegi, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Gar Madine ka gham chashm-e-nam chahiye, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Madani Aaqa ki nazar-e-karam chahiye, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sunnatain seekh lo rehmatain loot lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Deen ke ilm ki barkatain loot lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Tum gunahon se apne jo bezar ho, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Tum pe fazl-e-Khuda, lutf-e-Sarkar ho, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Zikr karna Khuda ka yahan subah-o-sham, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Paoge naat-e-mehboob ki dhoom dham, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Kar ke himmat musalmano aa jao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Ukhrawi daulat aao kama jao tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dard tangon mein ho, dard ghutnon mein ho, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Pet mein dard ho ya ke takhnon mein ho, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sunnaton ki tum aa kar soghat lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Aao bat-ti hai rehmat ki khairat lo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Gor-e-teera ko tum jagmagane chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rahatain roz-e-mehshar ki paane chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Choot jayegi filmon dramon ki lat, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Khush Khuda hoga ban jayegi aakhirat, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Tang dasti ka hal bhi nikal aayega, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rozgar InshaAllah mil jayega, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Ashiqan-e-Rasool aao denge bayan, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Door hongi ibadat ki khamiyan, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Ba-jamaat namazon ka jazba mile, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dil ka purmarda ghuncha khushi se khule, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Seekhne zindagi ka qareena chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dekhna hai jo meetha Madina chalo, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
InshaAllah bhai sudhar jaoge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Marz-e-isyan se chhutkara tum paoge, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dil mein bas jayen Aaqa ke jalwe mudam, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dekho Makke Madine ke tum subah-o-sham, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Sohbat-e-bad mein rahne ki aadat chhute, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Khaslat-e-jurm-o-isyan tumhari mite, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Aao ishq-e-Muhammad ke peene ko jaam, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Mast ho kar karo tum madani kaam, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Zindagi ka qareena milega tumhein, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Aao dard-e-Madina milega tumhein, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Aao sunnat ka faizan paoge tum, Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Insha Allah jannat mein jao ge tum, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Tum ko tarpa ke rakh de go dard-e-kamar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Pao ge tum sukoon hoga thanda jigar, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Rang raliyan manane ka chaska mite, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Raqs ki mehfilon ki nahoosat chhoote, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Dhool bajon ko sunne se baaz ao tum, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Filmi gaane na hargiz kabhi gao tum, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Chhor do chhor do bhai rizq-e-haram, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Ao karne lago ge bohat nek kaam, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Fazl-e-rab se ho deedar-e-sultan-e-deen, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Shadmani se jhoome ga qalb-e-hazein, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Maan bhi jao Attar ki iltija
Deeni mahol mein kar lo tum aitikaf
Hoga raazi Khuda khush Shah-e-Anbiya, deeni mahol mein kar lo tum aitikaf