Ab karam Ya Mustafa farmayiye, izn-e-Taiba ka ata farmayiye
Ya Habib-e-Kibriya Hajj ka sharaf, ab ata ik martaba farmayiye
Hazri ki ab saadat paoon mein, kuch karam aisa shaha farmayiye
Khwab mein aakar kuch sheereen kalam, baith kar meethay Mustafa farmayiye
Jin pe sadqay jaayein sab jannat ke phool, un labon ko ab to wa farmayiye
Ya Rasool Allah meri maghfirat, ho Khuda se ye dua farmayiye
Istaqamat deen par hum ko ata, az paye Ghaus-o-Raza farmayiye
Kab talak tarpein aseeran-e-qafas, qaid-e-gham se ab raha farmayiye
Aap ki ulfat mein ho rona naseeb, mujh ko chashm-e-nam ata farmayiye
Door pyaray Mustafa ranj-o-bala, az tufail-e-Murtaza farmayiye
Aap ke qadmon mein ho jaoon shaheed, kuch sabab aisa shaha farmayiye
Mujh ko lillah ik chalkata saqiya, jam-e-Kausar ka ata farmayiye
Apne aasi ki shafa'at hashr mein, Shafe-e-roz-e-jaza farmayiye
Madani burqay pehnein sab behnein, karam Fatima ka wasta farmayiye
Mah-e-Milad aa gaya ghar ghar pe ab, nasb parcham sab hara farmayiye