Ae Ghulam-e-Chahar Yaar-o-Ba-Safa Ghous-e-Paak
Hai himayat par teri ashrat-e-Rasool-Allah ki
Raasta poocho nujoom-e-Mustafa se gum raho
Aur safeena Nooh ka ashrat-e-Rasool-Allah ki
Hain isi halat se zinda jis tarah dunya mein thay
Zahiri soorat se thi rehlat-e-Rasool-Allah ki
Arzoo-ein dil ki karti hain dua Allah se
Ham bhi dekhein ge kabhi turbat-e-Rasool-Allah ki
Aate hain laakhon malak jis ki ziyarat ko unhein
Jaan-e-momin kahiye ya turbat-e-Rasool-Allah ki
Paish-e-mimbar kharij-e-masjid azaan-e-khutba ho
Hai Musalmano yahi sunnat-e-Rasool-Allah ki
Dekh lo ae Najdiyo waqat-e-Rasool-Allah ki
Arsh-e-Aazam par hui dawat-e-Rasool-Allah ki