Ae kaash! Phir Madeene mein Attar ja sake, ro ro ke haal-e-Shah ko apna suna sake
Pichle baras toh hazir-e-dar ho gaya tha aah! Is saal kaash Hajj ka sharaf phir se pa sake
Ya Rab-e-Mustafa! Koi aisa sabab bana saaye mein maut Gumbad-e-Khizra ke aa sake
Taiba bula, ya woh dil-e-ghamgeen de mujhe, dil se na tera gham koi mere mita sake
Ya Rab! Mujhe woh aankh de ke jo ishq-e-Rasool-e-Pak mein aansu baha sake
Woh aag mere seene mein Aqa lagaye, patthar se sakht qalb ko bhi jo jala sake
Sarkar-e-chaar yaar hon waasta, aisi bahaar do na khizaan paas aa sake
Dushman agarche ghaat mein hai koi gham nahin, un ki madad rahe toh bigaad apna kya sake
Chashm-e-karam ho aisi ke mit jaaye har khata, koi gunaah mujh se na shaitan kara sake
Hai sabr toh khazana Firdous bhaiyo! Aashiq ke lab pe shikwa kabhi bhi na aa sake
Jis waqt sunnaton ka main karne lagoon bayaan, aisa asar ho paida jo dil ko hila sake
Meri zabaan mein woh asar de Khuda-e-Pak, jo Mustafa ke ishq mein sab ko rula sake
Attar tere haami-o-nasir hain Mustafa, kis ki majaak hai ke jo tujh ko daba sake