Ae Khaak-e-Madina! tera kehna kya hai
Tujhe qurb-e-Shah-e-Madina mila hai
Sharaf-e-Mustafa ke qadam choomne ka
Tujhe barha khaak-e-Taiba mila hai
Muattar hai kitni tu khaak-e-Madina
Ke khushbuon se zarra zarra basa hai
Lagao tum aankhon mein khaak-e-Madina
Koi is se behtar bhi surma bhala hai
Mareezon! utha kar ke khaak-e-Madina
Maley jao! is mein yaqeenan shifa hai
Madine ki mitti zara sa utha kar
Piyo ghol kar har marz ki dawa hai
Aqeedat se khaak-e-Madina badan par
Malo tum har ek dard ki yeh dawa hai
Tujhe wasta Taiba ka Ya Rabb!
Ata kar gham-e-Mustafa iltija hai
Hamein maut khaak-e-Madina pe aaye
Ilahi! yeh tujh se hamari dua hai
Meri na'sh par Aap khaak-e-Madina
Chidhakna mere sathiyo! iltija hai
Pas-e-marg Maula! tu mitti hamari
Mila khaak-e-Taiba mein yeh iltija hai
Badan par hai Attar ke khaak-e-Taiba
Pare hat jahannam! tera kaam kya hai