Allah Allah Tera Darbar-e-Rasool-e-Arabi
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Allah Allah tera darbar Rasool-e-Arabi, tera darbar-e-karam bar Rasool-e-Arabi.
Be-kason ke ho madadgar Rasool-e-Arabi, ghamzadon ke bhi ho ghamkhwar Rasool-e-Arabi.
Gul-e-khudai ke ho mukhtar Rasool-e-Arabi, tum rasoolon ke bhi sardar Rasool-e-Arabi.
Ik nazar ya shah-e-abrar Rasool-e-Arabi, bas tera hi rahon bimar Rasool-e-Arabi.
Phir dikha do mujhe ek baar Rasool-e-Arabi, tum Madine ka woh gulzar Rasool-e-Arabi.
Samne hon tere minar Rasool-e-Arabi, gumbad-e-sabz ke anwar Rasool-e-Arabi.
Tera sehra, tera kohsar Rasool-e-Arabi, aur ho yeh badkar Rasool-e-Arabi.
Teri deewar ko chomon tera darwaza bhi, dhool bhi phool bhi aur khaar Rasool-e-Arabi.
Boon hi rota hua aaon main tere rozay par, kaash! usi aan ho deedar Rasool-e-Arabi.
Koi khali nahi lota kabhi dar se Aaqa, hai sakhi aap ka darbar Rasool-e-Arabi.
Koi daulat, koi sarwat, koi shohrat chahay, main faqat tera talabgar Rasool-e-Arabi.
Aatish-e-ishq bhadakti hi rahay seenay mein, bas tarapta rahon Sarkar! Rasool-e-Arabi.
Aap ke hijr ka gham kaash rulaye mujh ko, khoon rota rahon Sarkar! Rasool-e-Arabi.
Ho Madine hi Madina meray lab par aye kaash, har ghari ho yehi takrar Rasool-e-Arabi.
Mujh ko deewana bana lo Shah-e-Wala apna, meray sarwar meray sardar Rasool-e-Arabi.
Tere darbar-e-gauhar baar ke sab sail hain, aghniya bhi hon nadar Rasool-e-Arabi.
Tere deewanay taraptay hain Madine ke liye, woh bhi dekhein tera darbar Rasool-e-Arabi.
Door-e-Sunnat se musalman huay jatay hain, aah! fashion ki hai yalghar Rasool-e-Arabi.
Sunnaton ka ho ata dard musalmanon ko, door fashion ki ho bharmar Rasool-e-Arabi.
Mera seena teri Sunnat ka Madina ban jaye, sunnaton ka karoon parchar Rasool-e-Arabi.
Jaam-e-deedar pila do meray Aaqa! ab to, aankh hai kab se talabgar Rasool-e-Arabi.
Mushkilain meri hon asaan baraye Murshid, meray hami, meray ghamkhwar Rasool-e-Arabi.
Wasta Ghaus-o-Raza ka sar-e-baaleen aaja, jaan-e-lab hai tera bimar Rasool-e-Arabi.
Muskuratay huay ushaaq chalay duniya se, qabr mein hoga jo deedar Rasool-e-Arabi.
Hub-e-duniya mein giraftar hai nafs-e-zalim, almadad ya Shah-e-Abrar! Rasool-e-Arabi.
Dil pe shaitan ne aakar jamaya qabza, hon gunahon mein giraftar Rasool-e-Arabi.
Aah! barhta hi chala jata hai marz-e-isyaan, do shifa Sayyed-e-Abrar! Rasool-e-Arabi.
Main gunahgar, siyah-kar-o-khata-kar sahi, par hon kis ka? Tera Sarkar! Rasool-e-Arabi.
Meri har khaslat-e-bad door ho jaan-e-alam!, nek ban jaon main Sarkar! Rasool-e-Arabi.
Garmi-e-hashr se be-tab hon Shah-e-Kausar, ho nazar soye gunahgar Rasool-e-Arabi.
Ab to Sarkar! ho Attar pe nazar-e-rehmat, keh do apna sag-e-darbar Rasool-e-Arabi.