Allah ata ho mujhe deedar-e-Madina
Ho jaun main phir hazir-e-darbar-e-Madina
Ankhein meri mehroom hain muddat se Ilahi
Arsa hua dekha nahin gulzar-e-Madina
Phir dekh loon sehra-e-Madina ki baharein
Phir pesh-e-nazar kaash! hon gehsar-e-Madina
Phir gumbad-e-khizra ke nazare hon muyassar
Allah dikha de mujhe anwar-e-Madina
Khak ankhon mein mehboob ke koche ki saja kar
Dene ko salami chaloon darbar-e-Madina
Kya kaif-o-suroor aata tha afsos woh mere
The khwab woh goya sabhi asfar-e-Madina
Ta'zeem ko uth jaate sabhi qafle wale
joon hi nazar aate unhein asar-e-Madina
Parh parh ke sunaya hai unhein kalima-e-tayyab
Imaan pe hain shahid mere ashjar-e-Madina
Shadabi-e-jannat ka main munkir nahin lekin
Hai husn mein be-misl chaman zar-e-Madina
Afsos! mere nafs ko phoolon ki talab hai
A dil mein sama ja mere ae khar-e-Madina
Kasrat se durood un pe parhoon Rab ne jo chaha
Seene mein utar aayenge anwar-e-Madina
Sarkar bulate hain Madine mein karam se
Us ko ke jo ho dil se talabgar-e-Madina
Rehlat ki ghari hai mere Allah dikha de
Sharaf ek jhalak jalwa-e-Sarkar-e-Madina
Allah mujhe baksh, na ho hashr mein pursish
Kar lutf-o-karam az paye Sarkar-e-Madina
Yarab dil-e-Attar pe chhayi hai udasi
Kar shad dikha kar use gulzar-e-Madina