Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Allah ko maane jo Muhammad ko na maane

Allah ko maane jo Muhammad ko na maane

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Allah ko maane jo Muhammad ko na maane Laareeb woh naari hua inkaar-e-Nabi se Woh naar-e-jahannam ka hai haqdaar yaqeena Hai jis ko adawat kisi bhi yaar-e-Nabi se Ae zaair-e-Taiba! yeh dua kar mere haq mein Mujh ko bhi bulawa mile darbar-e-Nabi se Duniya ke nazaron se bhala kya ho surokaar Ushaaq ko bas ishq hai Gulzar-e-Nabi se Deewanon ke aansu nahi thamte dam-e-rukhsat Jab su-e-watan jaate hain darbar-e-Nabi se Jalwon se khudaya mera seena ho Madeena Aankhein bhi hon thandi meri deedar-e-Nabi se