Amal ka ho jazba atta Ya Ilahi! Gunahon se mujh ko bacha Ya Ilahi!
Mein paanchon namazein parhoon ba-jamaat, ho taufiq aisi atta Ya Ilahi!
Mein parhta rahoon sunnatein, waqt hi par, hoon saare nawafil ada Ya Ilahi!
De shauq-e-tilawat de zauq-e-ibadat, rahoon ba-wuzu mein sada Ya Ilahi!
Hamesha nigahon ko apni jhuka kar, karoon khashi'ana dua Ya Ilahi!
Na neki ki dawat mein susti ho mujh se
Bana shaiq-e-qafla ya Ilahi
Saadat mile dars-e-faizan-e-sunnat
Ki rozana do martaba ya Ilahi
Main mitti ke saada se bartan mein khaoon
Chatai ka ho bistar ya Ilahi
Hai aalam ki khidmat yaqeena saadat
Ho toufeeq us ki ata ya Ilahi
Sada-e-Madina doon rozana sadqa
Abu Bakr o Farooq ka ya Ilahi
Main neechi nigahain rakhoon kash aksar
Ata kar de sharm o haya ya Ilahi
Hamesha karoon kash parday mein parda
Tu paikar-e-haya ka bana ya Ilahi
Libas-e-apna sunnat se aarasta ho
Amama ho sar par saja ya Ilahi
Sabhi rukh pe ek musht daarhi sajayein
Banain aashiq-e-Mustafa ya Ilahi
Har ek madani inaam ae kash! paoon
Karam kar paye Mustafa ya Ilahi
Ho akhlaq achha ho kirdar suthra
Mujhay muttaqi tu bana ya Ilahi
Ghuseelay mizaj aur tamaskhur ki khaslat
Se Attar ko tu bacha ya Ilahi