Arsh-e-Ula se aala meethay Nabi ka Rauza
Hai har makaan se bala meethay Nabi ka Rauza
Kaisa hai pyara pyara yeh sabz sabz gumbad
Kitna hai meetha meetha meethay Nabi ka Rauza
Firdous ki bulandi bhi chhoo sake na is ko
Khuld-e-bareen se ooncha meethay Nabi ka Rauza
Makkah se is liye bhi afzal hua Madina
Hissay mein is ke aaya meethay Nabi ka Rauza
Kaabay ki azmaton ka munkir nahi hoon lekin
Kaabay ka bhi Kaaba meethay Nabi ka Rauza
Aansoo chhalak pare aur betaab ho gaya dil
Jis waqt mein ne dekha meethay Nabi ka Rauza
Hogi shafa'at us ki jis ne Madinay aakar
Kwah ek nazar bhi dekha meethay Nabi ka Rauza
Baadal gheray huay hain barish baras rahi hai
Lagta hai kya suhana meethay Nabi ka Rauza
Hijr-o-firaq mein jo ya Rab! tarp rahe hain
Un ko dikha de Maula meethay Nabi ka Rauza
Hashda-e-hazar-e-alam ka husn is pe qurban
Donon jahan ka dulha meethay Nabi ka Rauza
Us aankh pe kyun na qurban meri jaan ho
Jis aankh ne hai dekha meethay Nabi ka Rauza
Jis waqt rooh-e-tan se Attar ki juda ho
Ho samne Khudaya meethay Nabi ka Rauza