(Madani munnon aur talaba keliye kalam)
Atta kar do madine ki ijazat Ya Rasool Allah
Karoon main sabz gumbad ki ziyarat Ya Rasool Allah
Kuch aisa ho karam Mah-e-Risalat Ya Rasool Allah
Karoon Allah ki dil se ibadat Ya Rasool Allah
Sahaba ka gada hoon aur Ahl-e-Bait ka khadim
Yeh sab hai Aap hi ki to inayat Ya Rasool Allah
Tumhara fazal hai jo main ghulam-e-Ghaus-o-Khwaja hoon
Na ho kam Auliya ki dil se ulfat Ya Rasool Allah
Usi Ahmed-e-Raza ka wasta jo mere murshid hain
Atta kar do mujhe apni mohabbat Ya Rasool Allah
Madina meetha meetha hai madina pyara pyara hai
Madine se mujhe be-had hai ulfat Ya Rasool Allah
Main hoon Sunni rahoon Sunni maroon Sunni madine mein
Baqee-e-pak mein ban jaye turbat Ya Rasool Allah
Namazon mein mujhe hargiz na ho susti kabhi Aaqa
Parhoon panchon namazein ba-jamaat Ya Rasool Allah
Bare bhai behan ka main kaha mana karoon har dam
Karoon maa baap ki din raat khidmat Ya Rasool Allah
Bare jitne bhi hain ghar mein adab karta rahoon sab ka
Karoon chote behan bhai pe shafqat Ya Rasool Allah
Main sab se Aap keh kar pyar se baatein karoon Aaqa
Jhirakne ki ho meri door aadat Ya Rasool Allah
Adab ustad-e-deeni ka mujhe Aaqa atta kar do
Dil-o-jaan se karoon un ki itaat Ya Rasool Allah
Karam kar do ke mera hafiza mazboot hojaye
Na ho ustad ko mujh se shikayat Ya Rasool Allah
Main gaane bajon aur filmon dramon ke gunah choroon
Parhoon naatein karoon aksar tilawat Ya Rasool Allah
Hasad, wada khilafi, jhoot, chughli, gheebat-o-tohmat
Mujhe in sab gunahon se ho nafrat Ya Rasool Allah
Mere akhlaq achay hon mere sab kaam achay hon
Bana do mujh ko tum paband-e-sunnat Ya Rasool Allah
Zaroorat se zyada maal-o-daulat ka nahi talib
Rahe bas Aap ki nazar-e-inayat Ya Rasool Allah
Rahein sab shaad ghar walay Shaha thori si rozi par
Atta ho daulat-e-sabr-o-qana'at Ya Rasool Allah
Sab ahl-e-hashr mehshar mein unhi ko dhoondte honge
Pukarein ge sabhi roz-e-qayamat Ya Rasool Allah
Bahut kamzor hoon qabil nahi hargiz azabon ke
Khudara thaam lete jaana jannat Ya Rasool Allah
Mujhe tum Ya Rasool Allah de do jazba-e-tableegh
Shaha! deta phiron neki ki dawat Ya Rasool Allah
Shaha! Attar par har aan rehmat-e-nazar rakhna
Kare din raat yeh sunnat ki khidmat Ya Rasool Allah
Karoon har aan mein teri itaat Ya Rasool Allah
Paye murshid bana de nek seerat Ya Rasool Allah
Andheri qabr hai aur haye! main bilkul akela hoon
Ab aa bhi jao aye mehar-e-risalat! Ya Rasool Allah
Baqee-e-pak mein so jaon main aaram se aye kaash!
Muyassar aayegi yun teri qurbat Ya Rasool Allah
Azab-e-qabr o mehshar se bachalo naar-e-dozakh se
Khudara sath le ke jao jannat Ya Rasool Allah
Jo gussa nafs ki khatir mujhe aa bhi aaye
Mile sabr o shakeebai ki daulat Ya Rasool Allah
Mujhe ranj o alam ne har taraf se gher rakha hai
Dukhi dil ko karam se deed-e-rahat Ya Rasool Allah
Ata kar do mujhe Islam ki tableegh ka jazba
Main bas deta phiroon neki ki dawat Ya Rasool Allah
Yaqeenan aap ka inaam hai yeh mil gaye mujh ko
Shehanshah-e-Bareilly Aala Hazrat Ya Rasool Allah