Attar ne darbar mein daaman hai pasara
Hai izn-e-Madina ka talabgaar bechara
Chamka do shaha! mere muqaddar ka sitara
Phir hajj ka sharaf mujh ko ata kar do Khudaya
Main saal-e-guzishta bhi to aaya tha Madine
Is saal bhi ho jaye Madine ka nazara
Makke ki haseen sham ki dekhun mein baharein
Phir dekhun Madine ki shab-e-aaj dil aara
Samaan-e-Madina, to shaha! la ke rakha hai
Ab de do safar ka bhi humein izn-e-Khudara
Mayoos nahin tum se ye deewane tumhare
Ab kar do karam tum na karo der Khudara
Taakheer hui jaati hai kyun koch mein aakhir?
Tashweesh mein Taiba ka musafir hai bechara
Bigda hua har kaam sanwar jaye ga mera
Kardein ge shaha! aap jo abroo ka ishara
Sarkar! Madine mein isi saal bula lo
Ae shah! badi aas hai tum ko pukara
Ya Rab humein Makke ki fizaon mein bula le
Phir khana-e-Kaaba ka karein jam ke nazara
Ho jaye meri haaziri Arafat-o-Mina mein
Aur Marwa-o-Zulhaj ka bhi karoon khoob nazara
Jo hijr-e-Madina mein tadapte hain shab-o-roz
Kar lein kabhi Taiba ka shaha! woh bhi nazara
Kis tarah Madine mein mera dakhla hoga
Aalooda-o-wajood aah! gunahon se hai sara
Ae kash! meri aankh ho deedar ke qabil
Jee bhar ke karoon Gumbad-e-Khizra ka nazara
Marne do Madine mein mujhe qaafile walo
Ae chara garo! tum bhi na karna koi chara
Hum jayen kahan aur shaha kis ko pukarein
Humdard nahin tere siva koi hamara
Dukhiyon ka nahin tere siva koi bhi hamdam
Hai kis ko gharz door kare dard hamara
Go bad hoon gunahgar hoon badkar bura hoon
Jaisa bhi hoon sarkar tumhara hoon tumhara
Hum kyun karein hukkam ki amra ki khushamad
Jab aap ke tukron pe hamara hai guzara
Shaitan ne behka ke gunahon mein phansaya
Aur nafs-e-bad atwar ne isyaan pe ubhara
Isyaan ke samandar mein phansi nao hamari
Tum aa ke sambhalo hai bahut door kinara
Afsoos! gunahon se hai pur naama-e-aamaal
Rakhe ga meri laaj qayamat mein Khudaya
Attar ka bas aap ke hathon mein bharam hai
Keh dijiye Attar hamara hai hamara