Auliya ka karam, tum pe ho lajaram
Khoob jalway milein, qafle mein chalo
Khwab mein dar lagay, bojh dil par lagay
Aayiye chal parain, qafle mein chalo
Ghaybi imdad ho, ghar bhi abad ho
Lutf-e-Haq dekh lein, qafle mein chalo
Tangdasti mitay, door aafat hai
Lene ko barkatain, qafle mein chalo
Be-amal ban gaye khas kar, aap bhi dekh lein, qafle mein chalo
Khoob hoga sawab aur talay ga azab
Pao ge bakhshishain, qafle mein chalo
Be-shak aamal-e-bad aur afaal-e-bad
Ki chhatain aadatein, qafle mein chalo
Kar safar aayein ge, to sudhar jayein ge
Ab na susti karein, qafle mein chalo
Dil pe zang ho, sara ghar tang ho
Daagh saaray dhulain, qafle mein chalo
Aisa faizan ho, Hifz-e-Quran ho
Khoob khushiyan milein, qafle mein chalo
Aashiq-e-qafila ban ke ghar lo bana
Qalb-e-Attar mein qafle mein chalo