Hamare aaqa hamare maula Imam-e-Azam Abu Hanifa
Hamare malja hamare mawa Imam-e-Azam Abu Hanifa
Zamana bhar ne zamana bhar mein bohat tajassus kiya lekin
Mila na koi imam sa Imam-e-Azam Abu Hanifa
Sipehr-e-ilm-o-amal ke sooraj tum hi ho sab hain tumhare taare
Tum hi se chamka hai jo bhi chamka Imam-e-Azam Abu Hanifa
Tumhare aage tamam-e-alam na kyun kare zanooye-adab kham
Ke peshwayan-e-deen ne mana Imam-e-Azam Abu Hanifa
Na kyun karein naaz ahl-e-sunnat ke tum se chamka naseeb-e-ummat
Siraj-e-ummat mila jo tum sa Imam-e-Azam Abu Hanifa
Khuda ne tujh ko woh di hai rif'at ke tera mansoob bhi hai marfoo
Teri izafat mein raf'a paya Imam-e-Azam Abu Hanifa
Hawa ulil-amr se yeh saabit ke teri ta'at zaroori wajib
Khuda ne tum ko kiya hamara Imam-e-Azam Abu Hanifa
Kisi ki aankhon ka tu hai taara kisi ke dil ka bana sahara
Magar kisi ke jigar mein aara Imam-e-Azam Abu Hanifa