Ba-hamd-e-Allah Abdullah ka noor-e-nazar aya
Mubarak Amina ka noor-e-dil lakht-e-jigar aya
Yeh Abdul-Muttalib ki khoobi-e-qismat keh un ke ghar
Chiragh-e-la-makan kon-o-makan ka tajwar aya
Woh Khatm-ul-Anbiya tashreef farma hone wale hain
Nabi har ek pehle se sunata yeh khabar aya
Rabi-ul-pak tujh pe Ahl-e-Sunnat kyon na qurban hon
Ke teri barahwin tarikh woh jaan-e-qamar aya
Huye jab jalwa farma Shah-e-Zeeshan duniya mein
Har ek qudsi falak se bahr-e-pa-bosi utar aya
Jhuka jata hai sajde ke liye is waste Kaba
Ke masjood-e-malaik aaj is mein jalwa-gar aya