Home/Allama Hasan Raza Khan/Bagh-e-Jannat mein nirali chaman-arai hai

Bagh-e-Jannat mein nirali chaman-arai hai

Written by Allama Hasan Raza Khan

100%
Bagh-e-Jannat mein nirali chaman-arai hai Kya Madina pe fida ho ke bahar aayi hai Un ke gesu nahi rahmat ki ghata chhayi hai Un ke abru nahi do qiblon ki yakjai hai Sangrezon ne hayat-e-abadi payi hai Nakhunon mein tere ijaz-e-masiha'i hai Sar-e-baleen unhein rahmat ki ada layi hai Haal bigra hai to bimar ki ban aayi hai Jaan-e-guftar to raftar hui rooh-e-rawan Dam-e-qadam se tere ijaz-e-masiha'i hai Jis ke hathon ke banaye hue hain husn-o-jamal Ae haseen teri ada us ko pasand aayi hai Tere jalwon mein ye aalam hai ke chashm-e-aalam Taab-e-deedar nahi phir bhi tamashayi hai Jab teri yaad mein duniya se gaya hai koi Jaan lene ko dulhan ban ke qaza aayi hai Sar se pa tak teri surat pe tasadduq hai jamal Is ko mauzuni-e-aza ye pasand aayi hai Tere qadmon ka tabarruk yad-e-baiza-e-kaleem Tere hathon ka diya fazl-e-masiha'i hai Dard-e-dil kis ko sunaoon mein tumhare hote Bekason ki isi sarkar mein sunwai hai Aap aaye to munawwar huin andhi aankhein Aap ki khak-e-qadam surma-e-bina'i hai Natwani ka alam ham zu'afa ko kya ho Hath pakre hue maula ki tawanai hai Jaan di tu ne masiha-o-masiha'i ko Tu hi to jaan-e-masiha-o-masiha'i hai Watan aur is ka tadka sadqe is shaam-e-ghareebi par Ke noor-e-rukn-e-shaami raush-e-subh-e-munawwar hai Huye imaan taza bosa-e-rukn-e-yamani se Fida ho jaaun yumn-o-aimani ka paak manzar hai Yeh zamzam is liye hai jis liye is ko piye koi Usi zamzam mein jannat hai usi zamzam mein kausar hai Shifa kyun kar na payein neem jaan zehr-e-ma'asi ke Ke nazara-e-iraqi rukn ka tiryaq-e-akbar hai Safa-e-qalb ke jalway ayan hain sa'i-e-mas'a se Yahan ki be-qarari bhi sukoon-e-jaan muztar hai Hua hai peer ka hajj peer ne jin se sharaf paya Inhi ke fazl se din jumma ka har din se behtar hai Nahin kuch jumma par mauqoof afzal-o-karam un ke Jo woh maqbool farma lein toh har hajj hajj-e-akbar hai Hasan hajj kar liya ka'aba se aankhon ne ziya payi Chalo dekhein woh basti jis ka rasta dil ke andar hai