Banaya tumhein Haq ne mukhtar-o-hakim
Woh kya hai nahi jis pe qabza tumhara
Kiya Haq ne bahr-e-kamalat tum ko
Na paya kisi ne kinara tumhara
Muyassar kisi ko nahi aisi rifat
Ke jaisa hua paya-e-bala tumhara
Rafana ka jalwa dikhane ko Haq ne
Likha arsh par naam wala tumhara
Qabail ke hissay kiye jab Khuda ne
Kiya sab se aala qabeela tumhara
Azanon mein khutbon mein shadi-o-gham mein
Gharz zikr hota hai har ja tumhara
Yeh farsh-e-zameen hai tumhari hi khatir
Bana hai sama shamiana tumhara
Munawwar hua aasman-e-risalat
Ujala hai aisa dil-ara tumhara