Banda-e-badkar hoon be-had zaleel-o-khar hoon
Maghfirat farma Ilahi! tu bada ghaffar hai
Maut ke jhatkon pe jhatke aa rahe hain al-madad
Sakht be-chaini ke aalam mein ghira bimar hai
Ab sare-baleen khudara muskurate aaiye
Jaan-balab Shah-e-Madina talib-e-deedar hai
Ghusl dene ke liye ghassal bhi ab aa chuka
Ghusl-e-mayyat ho raha hai aur kafan tayyar hai
Ya Nabi! pani se sara jism mera dhul gaya
Nama-e-aamal ko bhi ghusl ab darkaar hai
Laad kar kandhon pe ahbab aah! qabristan chale
Waste tadfeen ke gehra gadha tayyar hai
Qabr mein mujh ko lita kar mitti daal kar
Chal diye sathi na paas ab koi rishtedar hai