Bayan kis munh se ho us Majma-ul-Bahrain ka rutba
Jo markaz hai shariyat ka tariqat ka hai sarchashma
Bana us waste Allah ka ghar jaye paidaish
Ke woh Islam ka kaba hai yeh iman ka kaba
Woh hai khamosh Quran aur yeh Quran-e-Natiq hain
Nahi hai jis dil mein yeh us mein Quran ka rasta
Dulhan-e-Zehra Umar damad aur Hasnain se bete
Teri hasti hai aala aur balatar tera kunba