Bashar se ghair mumkin hai sana Hazrat-e-Muhammad ki
Khuda karta hai khud Quran mein midhat Muhammad ki
Pasand-e-Haq hui sall-e-ala surat Muhammad ki
Na kyun donon jahan ko dil se ho chahat Muhammad ki
Hai muzdah mominon ko man raani qad ra-al-Haq
Khuda dekha jise hasil hui ru'yat Muhammad ki
Bashar jin-o-malak hargiz nahi mumkin ke pehchanein
Khuda hi jaanta hai rifat-o-shaukat Muhammad ki
Khuda se apni ummat ke liye poocha jo Musa ne
To farmaya ke afzal sab se hai ummat Muhammad ki
Huye but sar-nigoon aatish kadah mein zalzalah aaya
Dilon par chha gayi kuffar ke haibat Muhammad ki