Bayan kyun kar sana-e-Mustafa ho
Khuda jab un ka khud midhat sara ho
Madine ki mohabbat mein jo roye
Ata woh aankh woh mithey Mustafa ho
Salam-e-shauq keh dena adab se
Guzar huye Madina jab saba ho
Tadap kar Ya RasoolAllah pukaro
Nahin mumkin na Aqa ne suna ho
Ata kar do mujhe woh bheek Data
Mere saare qabeelay ka bhala ho
Karoon be-laus khidmat sunnaton ki
Shaha gehar lutf mujh par aap ka ho
De jazba Madani inamaat ka toh
Karam Ya Sayyid-e-har do sara ho
Main Madani qafilon hi ka musafir
Rahoon aksar karam aisa Shaha ho
Karam ho Dawat-e-Islami par yeh
Shareek is mein har ik chhota bada ho
Main sab daulat yeh haq mein luta doon
Shaha aisa mujhe jazba ata ho
Gunahon ne kahin ka bhi na chhora
Karam mujh par Habib-e-Kibriya ho
Gunahon ki chhutey har ek aadat
Sudhar jaun karam Ya Mustafa ho
Kayi hai ghaflaton mein zindagani
Na jaane hashr mein kya faisla ho
Karam ho wasta Gul-e-Auliya ka
Mera imaan pe Maula khatima ho
Mere aamal toh le ja rahe hain
Shafa'at Shafi-e-roz-e-jaza ho
Ilahi hoon bohat kamzor banda
Na dunya mein na uqba mein saza ho
Beroz-e-hashr Aqa kaash! Keh dein
Tum ae Attar dozakh se raha ho