Home/Allama Hasan Raza Khan/Bazm-e-Mahshar Munaqid Kar Meer-e-Saman-e-Jamal

Bazm-e-Mahshar Munaqid Kar Meer-e-Saman-e-Jamal

Written by Allama Hasan Raza Khan

100%
Bazm-e-Mahshar munaqid kar Meer-e-Saman-e-Jamal Dil ke aayino ko muddat se hai arman-e-jamal Apna sadqa banta aata hai Sultan-e-jamal Jholiyan phailaye daurein be-nawayan-e-jamal Jis tarah se ashiqon ka dil hai qurban-e-jamal Hai yun hi qurban teri shakal par jaan-e-jamal Be-hijabana dikha do ek nazar aan-e-jamal Sadqay hone ke liye hazir hain khwahan-e-jamal Tere hi qamat ne chamkaya muqaddar husn ka Bas isi ekke se roshan hai shabistan-e-jamal Rooh le gi hashr tak khushbue jannat ke mazay Gar basa de ga kafan itar-e-gareban-e-jamal Mar gaye ushshaq lekin hai chashm-e-muntazir Hashr tak aankhein tujhe dhondhein gi aye jaan-e-jamal Paishgi hi naqd-e-jaan dete chale hain mushtari Hashr mein khole ga ya-rab kaun dukan-e-jamal Ashiqon ka zikr kya mashooq ashiq ho gaye Anjuman ki anjuman sadqay hai aye jaan-e-jamal Teri zurriyat ka har zarra na kyun ho aaftab Sar-e-zameen-e-husn se nikli hai yeh kaan-e-jamal Bazm-e-mahshar mein haseen sab jhuk rahe hain Par nazar teri uthti hai aye jaan-e-jamal Aarahi hai zulmat-e-shab haye gham peecha kiye Noor-e-Yazdan hum ko le le zer-e-daman-e-jamal Wusat-e-bazaar-e-mahshar hai us ke huzoor Kis jagah khole kisi ka husn dukan-e-jamal Khub-ruyan jahan ko bhi yahi kehte suna Tum ho shan-e-husn-e-jaan-e-husn-e-iman-e-jamal