Bharay is mein asrar-o-ilm-e-do-aalam
Kushada kiya Haq ne seena tumhara
Ba-hukm-e-Khuda tum ho majood har ja
Bazahir hai Taiba thikana tumhara
Tumhari sifat-e-Haq ne farmayi shahid
Har ek ja hai majood jalwa tumhara
Kisi ja hai Taha-o-Yaseen kahin par
Laqab hai Sirajan-Munira tumhara
Jise Haq ke deedar ki aarzu ho
Woh dekhe meri jaan chehra tumhara
Khuda hum ko bakhshe woh chashm-e-Khuda been
Rahay kuch na parda hamara tumhara
Kiya tum ko noor-e-mujasam Khuda ne
Zameen par nahi parta saya tumhara
Kamalon ka makhzan jamalon ka gulshan
Khuda ne banaya gharana tumhara