Shukr-e-Khuda ke aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan-e-falah-o-zafar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Naashukr ye to dekh azeemat kidhar ki hai
Kis khaak-e-paak ki to bani khaak-e-paa shifa
Tujh ko qasam janab-e-maseeh-e-sar ki hai
Aab-e-hayaat rooh hai Zarqa ki boond boond
Akseer-e-Azam mas-e-dil-e-khaak-e-dar ki hai
Hum ko toh apne saaye mein aaram hi laaye
Heele bahane walon ko yeh raah darr ki hai
Lutte hain maare jaate hain yun hi suna kiye
Har baar di woh aman ki ghairat-e-hizr ki hai
Woh dekho jagmagati hai shab aur qamar abhi
Peharon nahi ki bast-o-chaharam safar ki hai
Maah-e-Madina apni tajalli ata kare!
Yeh dhalti chandni toh pehar do pehar ki hai
Man zara turbati wajabat lahu shafa'ati
Un par durood jin se naveed in bashar ki hai
Us ke tufail hajj bhi Khuda ne kara diye
Asl muraad haaziri us paak dar ki hai