Chamak tujh say patay hain sab panay walay
Mira dil bhi chamka day chamkanay walay
Barasta nahin dekh kar abr-e-rehmat
Badon par bhi barsa day barsanay walay
Madina kay khittay Khuda tujh ko rakhay
Ghareebon faqiron kay thahranay walay
Tu zinda hai wallah tu zinda hai wallah
Meray chashm-e-aalam say chhap janay walay
Main mujrim hoon Aaqa mujhay saath lay lo
Keh rastay mein hain ja baja thanay walay
Haram ki zameen aur qadam rakh kay chalna
Array sar ka mauqa hai o janay walay