Dast-e-Qudrat ne ajab surat banai aap ki
Walay-o-shaida hui sari khudai aap ki
Aap par sadqay na kyun kar hon haseenan-e-jahan
Sani-e-Mutlaq ko shakl-e-paak bhai aap ki
Aap mehboob-e-Khuda kaunain ke mukhtar hain
Jab Khuda hai aap ka sari khudai aap ki
Badshahan-e-jahan ko bhi yahi kehtay suna
Saltanat-e-dunya ki chhoro lo gadai aap ki
Naar walay ek dam mein noor walay ho gaye
Rehmat-e-alam ajab hai rehnumai aap ki