Dil ko sukoon chaman mein na hai lalah zaar mein
Soz-o-gudaaz hai faqat un ke diyaar mein
Ya Mustafa bulaiye apnay diyaar mein
Sarkar! aaon Taiba ke phir lalah zaar mein
Har saal ya Ilahi mujhe Hajj naseeb ho
Jab tak jeeyoon mein aalam-e-napaidaar mein
Har saal haaziri ho Madinay ki khair se
Har saal kaash! aaon mein teray diyaar mein
Soz-e-Bilal do mujhe soz-e-Bilal do
De saktay ho tumharay to hai ikhtiyar mein
Yarab! gham-e-habib mein rona naseeb ho
Aansu na raigaan hon gham-e-rozgaar mein
Afsos ghat'ti ja rahi hai roz-e-zindagi
Par mein daba hoon isyan ke baar mein
Tujh ko husn-e-Husain ka deta hoon wasta
Allah! maut de mujhe un ke diyaar mein