Dil mein ho mere jaaye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Sar mein rahe sauda-e-Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Farsh ki zeenat ronaq-e-jannat ba'is-e-khilqat mazhar-e-wahdat
Arsh ki izzat paaye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Toor pe pahunche Hazrat-e-Musa chauthe falak par Hazrat-e-Isa
Arsh-e-Mu'alla jaaye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Qibla-e-Kaaba rauza wala arsh se aala qabr-e-Mu'alla
Jaan-e-jahan hai sahra-e-Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Jinn-o-Malaik hoor-o-ghilman sab hain naam un pe qurbaan
Kaun nahi jo aaye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Haq ne unhein be-misal banaya zameen par kyun kar saya
Noor-e-Khuda a'za-e-Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Jab ke farishtay qabr mein aaein zikr-e-sawaal ka lab par laaein
Main yeh kahoon shida-e-Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)