Do-aalam mein roshan hai Aaka tumhara
Hua la-makaan tak ujala tumhara
Na kyun gaye bulbul tarana tumhara
Ke pati hai har gul mein jalwa tumhara
Zameen walay kya jaanein rutba tumhara
Hai ooncha falak se phairera tumhara
Parha be-zabanon ne kalma tumhara
Hai sang-o-shajar mein bhi charcha tumhara
Chutray ga gham se ishara tumhara
Utaray ga pul se sahara tumhara
Tumhein ho jawab-e-sawalat-e-mahshar
Tumhein ko pukaray ga banda tumhara
Fa-tarza ki yeh pyari pyari sada hai
Ke hoga qayamat mein chaha tumhara