Eid-e-Milad-un-Nabi hai dil bada masroor hai
Har taraf hai shadmani ranj-o-gham kafoor hai
Is taraf jo noor hai to us taraf bhi noor hai
Zarra zarra sab jahan ka noor se mamoor hai
Har malak hai shadmaan khush aaj har ek hoor hai
Haan! Magar shaitan ma' rufa bada ranjoor hai
Aamad-e-sarkar se zulmat hui kafoor hai
Kya zameen kya aasmaan har samt chaya noor hai
Jashn-e-Milad-un-Nabi hai kyun na jhoomein aaj hum
Muskurati hain baharein sab faza pur-noor hai
Ho rahi hain chaar janib barishein anwar ki
Dasht-o-kohsar-o-chaman har shay pe chaya noor hai
Mil ke deewano! padho saare durood ab jhoom kar
Aaj woh aaya jahan mein jo sarapa noor hai
Aamina tujh ko mubarak shah ka milaad ho
Tera aangan noor, tera ghar ka ghar sab noor hai
Ghamzada! tum ko mubarak! gham ghalat ho jayenge
Aagaya woh jis ke sadqe har bala kafoor hai
Aaj deewane madine ke sabhi hain shadmaan
Baithe aaqa ki wiladat se har ek masroor hai
Bakhshish de mujh ko ilahi behr-e-Milad-un-Nabi
Nama-e-aamal isyaan se mera bharpoor hai
Gumbad-e-khazra ka us ko bhi to ab deedar ho
Ya-ilahi! jo madine se abhi tak door hai
Aap ki nazar-e-karam se kaam bante hi gaye
Warna aaqa yeh guda to be-kas-o-majboor hai
Ya-ilahi! apne pyare ka ata ho gham mujhe
Khush naseebi us ki un ke gham mein jo ranjoor hai
Shaan kya pyare amame ki bayaan ho ya Nabi
Tere na'l-e-pak ka har zarra rashk-e-toor hai
Sad karod afsos! fashion ki nahoosat cha gayi
Aah! ek tadaad un ki sunnaton se door hai
"Hoon ghulam-e-Mustafa" apna to daawa hai yahi
Kaash! aaqa bhi yeh farma dein hamein manzoor hai
Woh pilaye ahl-e-mahshar dekhte hi bol uthein
Aagaya Attar dekho ishq mein makhmor hai