Eid-e-Milad un Nabi phir aa gayi, shukr ka sajda ada farmayiye
Eid aayi eid, eidon ki bhi eid, uthiye saman jashn ka farmayiye
Jhoom kar saaray khushi se baar baar, "Marhaba Ya Mustafa" farmayiye
"Ya Rasool Allah" kehte zor se, shaq-e-jigar Iblees ka farmayiye
Gumbad-e-Khizra ke jalway hon naseeb, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Dijiye dard-e-Madina dijiye, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Mera seena ho Madina Ya Nabi, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Dijiye soz-e-Raza soz-e-Ziya, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Nemat-e-akhlaq kar dijiye ata, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Gheebat-o-chughli ki aafat se bachein, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Hum riyakari se bachtay hi rahein, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Nafs-o-Shaitan ki shararat door ho, yeh karam Ya Mustafa farmayiye
Dam labon par aa gaya Attar ka, ab qadam ranja shaha! farmayiye