Ek baar phir Madine Attar ja rahe hain
Aqaa Madine wale dar par bula rahe hain
Qismat ko is tasawwur se wajd aa raha hai
Rahmat ki bheek dene Aqaa bula rahe hain
Woh faiz ka khazana har dam luta rahe hain
Anwar har taraf hi Taiba mein chha rahe hain
Jo koi un ke gham mein aansu baha rahe hain
Jeene ka lutf aise ush-shaq pa rahe hain
Jis dam Madine aayen royen pichren khayen
Hum maang tum se Aqaa aisi ada rahe hain
Husn-e-amal hamare palle mein kuch nahi hai
Aahon ki aansuon ki saugaat la rahe hain
Manzar hai rooh parwar rozay ki jaaliyon par
Ush-shaq aansuon ke moti luta rahe hain
Aqaa! hamein ye aankhein bas aap hi ke gham mein
Haaye hamein zamane ke gham rula rahe hain
Izn-e-Khuda se ho tum mukhtar-e-har do-aalam
Donon jahan tumhari khairaat kha rahe hain
Dastoor hai ke jis ka khana usi ka gana
Hum jis ka kha rahe hain geet us ke ga rahe hain
Maskan bane Madina madfan bane Madina
Ahmed Raza ka tum ko dete wasta rahe hain
Aqaa! bulao un ko be-chain muztarib jo
Dil ko jala rahe hain aansu baha rahe hain
Jin ka na bhaao koi duniya mein poochta ho
Seena se un ko Aaqa apne laga rahe hain
Ummat ke haal se hain aagah har ghari Aap
Khwabon mein aa rahe hain bigri bana rahe hain
Duniya ke gham ne maara lillah do sahara
Sarkar thokarain hum dar dar ki kha rahe hain
Ab gher chuki hai Aaqa toofan mein apni naiya
Ae Nakhuda sahara maang Aap ka rahe hain
Aqaa Huzoor-e-Anwar! Nazar-e-karam ho hum par
Abr-e-siyah-e-dil par isyaan ke chha rahe hain
Chashm-e-karam ho jaana su-e-gunahgaaran
Sarkar! Nafs-o-shaitan har dam daba rahe hain
Un sab muballighon ke khwabon mein ab karam ho
Aqaa jo sunnaton ki khidmat baja rahe hain
Parwardigar-e-aali de jazba-e-Ghazali
Kar hum ko khush khisaali kar ye dua rahe hain
Bemari-e-gunah se hum ko shifa de ya Rabb
Ban jayain nek hum sab iltija rahe hain
Daulat ki hirs dil se Allah door kar de
Ishq-e-Rasool de de kar ye dua rahe hain
Takseer-e-maal-o-zar ki hargiz nahin tamanna
Hum maang Aap se bas gham Aap ka rahe hain
Rukhsat ki ab ghari hai sar par ajal khari hai
Aajaao ab khudara hum jaan se ja rahe hain
Ab lahad mein azizo! jaldi utaar bhi do
Aaha! woh muskurate tashreef la rahe hain
Faryad-e-jaan aalam! koi nahin hai hamdam
Su-e-Saqar farishtay ab le ke ja rahe hain
Qurban roz-e-mehshar daaman ka parda dhak kar
Aibon ko mere Sarwar khud hi chupa rahe hain
Mehshar mein Banda Parwar lutf-o-karam ke paikar
Bhar bhar ke jaam-e-Kausar hum ko pila rahe hain
Sadqe mein Murtaza ke soz-e-Bilal de do
Ye arz le kar Aaqa Attar aa rahe hain
Un ke karam ke sadqe fazl-o-karam pe qurban
Attar ko woh le kar jannat mein ja rahe hain