Fikr-e-asfal hai meri martaba-e-a'ala tera
Wasf kya khaak likhay khaak ka putla tera
Tur par hi nahi mauquf ujala tera
Kaun say ghar mein nahi jalwa-e-zaiba tera
Har jagah zikr hai aye Wajid-o-Yakta tera
Kaun si bazm mein roshan nahi ikka tera
Phir numayan jo sar-e-tur ho jalwa tera
Aag lenay ko chalay aashiq-e-shaida tera
Kheera karta hai nigahon ko ujala tera
Kijiye kaun si aankhon se nazara tera
Jalwa-e-yaar nirala hai yeh parda tera
Keh galay mil ke bhi khulta nahi milna tera
Kya khabar hai keh 'Ala-il-'Arsh ke ma'ani kya hain
Keh hai aashiq ki tarah 'Arsh bhi joya tera
Dasht-e-Aiman mein mujhay khaak nazar aaye ga
Mujh mein ho kar nazar aata nahi jalwa tera
Har sahar naghma-e-murghan-e-nawasanj ka shor
Goonjta hai teray ausaf se sehra tera
Wehshat-e-ishq se khulta hai tu aye parda-e-raaz
Kuch na kuch chaak-e-gareban se hai rishta tera
Sach hai insaan ko kuch kho ke mila karta hai
Aap ko kho ke tujhay paye ga joya tera
Hain teray naam se abadi-o-sehra aabad
Shehar mein zikr tera dasht mein charcha tera
Barq-e-deedar hi ne to yeh qayamat tori
Sab se hai aur kisi se nahi parda tera
Aamad-e-hashr se ik eid hai mushtaqon ko
Usi parda mein to hai jalwa-e-zaiba tera
Saaray aalam ko to mushtaq-e-tajalli paya
Poochnay jaye ab kis se thikana tera
Khaar-e-Sehra-e-Nabi paon se kya kaam tujhe
Aamri jaan mere dil mein hai rasta tera
Kyun na ho naaz mujhe apne muqaddar pe ke hoon
Sag-e-tera banda-e-tera maangne wala tera
Achhe achhe hain tere dar ki gadai karte
Oonche oonchon mein bitha karta hai sadqa tera
Bheek be-maange faqiron ko jahan milti hai
Donon aalam mein woh darwaza hai kiska tera
Kyun tamanna meri mayoos ho aye abr-e-karam
Sookhe dhaanon ka madadgaar hai chhinta tera
Haye phir khanda-e-beja mere lab par aaya
Haye phir bhool gaya raaton ka rona tera
Hashr ki pyaas se kya khauf gunahgaron ko
Tishna-kaamon ka kharidaar hai dariya tera
Sozan-e-gumshuda milti hai tabassum se tere
Shaam ko subah banata hai ujaala tera
Sidq ne tujh mein yahan tak toh jagah payi hai
Keh nahin sakte ulash ko bhi jhoota tera
Khaas bandon ke tasadduq mein rihai paye
Aakhir is kaam ka toh hai yeh nikamma tera
Band-e-gham kaat diya karte hain tere abroo
Phir deta hai balaon ko ishara tera
Hashr ke roz hansaye ga khatakaron ko
Mere ghamkhwar dil-e-shab mein yeh rona tera
Amal-e-neik kahan nama-e-badkaran mein
Hai ghulamon ko bharosa mere aaqa tera
Bahr-e-deedar jhuk aaye hain zameen par taare
Wah aye jalwa-e-dildar chamakna tera
Oonchi ho kar nazar aati hai har ek shay choti
Ja ke khursheed bana charkh pe zarra tera
Aye madine ki hawa dil mera afsurda hai
Sookhi kaliyon ko khila jata hai jhonka tera
Mere aaqa hain woh abr-e-karam aye soz-e-alam
Ek chhintay ka bhi hoga na yeh dehra tera
Ab Hasan manqabat-e-Khwaja-e-Ajmer suna
Tab'a pur-josh hai rukta nahin khama tera
Rashk hota hai ghulamon ko kahin aqa se
Kyun kahun rashk-e-woh-e-badr hai talwa tera
Bashar afzal hain malak se teri yun madh karun
Na malak khas bashar karte hain mujra tera
Jab se tu ne qadam ghous liya hai sar par
Auliya sar pe qadam lete hain shaha tera
Mohi-e-deen ghous hain aur Khwaja Moinuddin hai
Ae Hasan kyun na ho mehfooz aqeeda tera