God mein aalam-e-shabab haal-e-shabab kuch na pooch
Gulban-e-baagh-e-noor ki aur hi kuch uthaan hai
Tujh sa siyah kaar kaun un sa shafie hai kahan
Pher woh tujhi ko bhool jayen dil yeh tera guman hai
Pesh-e-nazar woh nau-bahar sajde ko dil hai be-qarar
Rukiye sar ko rukiye haan yehi imtihaan hai
Shaan-e-Khuda na sath de un ke kharaam ka woh baaz
Sidra se ta zameen jise narm si ik uraan hai
Baar-e-jalal utha liya garche kaleja shaq hua
Yoon to yeh mah-e-sabza rang nazron mein dhaan hai
Khauf na rakh Raza zara tu to hai abd-e-Mustafa
Tere liye amaan hai tere liye amaan hai