Gumbad-e-Khizra ki jis waqt mein dekhun ga bahaar
Mujh gunahgar ki bakhshish ka bahana hoga
Jab suwalat, Nakeerain karenge mujh se
Lab pe Sarkar ki na'ton ka tarana hoga
Hashr mein jab humein Sarkar nazar aayenge
Kaisa manzar woh haseen aur suhana hoga
Tujh ko gar rutba-e-aali ki talab hai bhai!
Ghaur se sun tujhe hasti ko mitana hoga
Un ki dehleez pe sar apna jhuka de bhai!
Dekhna sab tere qadmon mein zamana hoga
Bhaiyo! Chahiye gar Rabb-e-Muhammad ki raza
Khud ko mehboob ki sunnat pe chalana hoga
Meri Sarkar ke qadmon mein hi in sha Allah
Mera firdous mein Attar thikana hoga
Is baras bhi na madine mein agar aayi maut
Ghar ko rote hue Attar rawana hoga