Gunahon ka andhera chha gaya hai hum kameenon par
Khudaara ho karam noor-e-mujassam ya RasoolAllah
Jahan jaaun jidhar jaaun Madine ki fiza paaun
Milay lutf-e-hazoori jaan-e-aalam ya RasoolAllah
Tawaf-e-khana-e-Kaaba ka tum mujh ko sharaf de do
Piyoon Makke mein aa kar aab-e-zam zam ya RasoolAllah
Madine jab mein pahunchun to kaleja mera phat jaaye
Wahan ro ro ke apna tod doon dam ya RasoolAllah
Baqee-e-paak mein mujh ko jagah Sarkar mil jaaye
Tufail-e-peer-o-murshid Ghaus-e-Azam ya RasoolAllah
Hussain Ibn-e-Ali ke waaste kar do karam jin ka
Ke hai yaum-e-shahadat-e-zail-e-Muharram ya RasoolAllah
Wahi ummat khataon mein padi hai raat mein jin ke
Liye roya kiye maanind-e-shabnam ya RasoolAllah
Shah! Attar ka dil toot jaaye! Kaash duniya se
Rahe gum aap ki ulfat mein har dam ya RasoolAllah