Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Gunahon Se Mujh Ko Bacha Ya Ilahi!

Gunahon Se Mujh Ko Bacha Ya Ilahi!

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Gunahon se mujh ko bacha Ya Ilahi! Buri aadatein bhi chura Ya Ilahi! Khataon ko meri mita Ya Ilahi! Mujhe naik khasalat bana Ya Ilahi! Mutti' apna mujh ko bana Ya Ilahi! Sada sunnaton par chala Ya Ilahi! Tujhe wasta saare nabiyon ka Maula! Meri baksh de har khata Ya Ilahi! Gham-e-Mustafa de gham-e-Mustafa de! Ho dard-e-Madina atta Ya Ilahi! Maein ishq-e-Nabi mein rahoon gum hamesha! Tu deewana aisa bana Ya Ilahi! Madine ki masti rahe mujh pe chhayi! Sada Ya Ilahi sada Ya Ilahi! Dukha har baras tu Haram ki baharein! Tu Makka Madina dikha Ya Ilahi! Sharaf har baras Hajj ka paaun khudaya! Chale Taiba phir qafila Ya Ilahi! Jo rote hain hijr-e-Madina mein un ko! Madine ki galiyan dikha Ya Ilahi! Zaban aur aankhon ka qufl-e-Madina! Atta ho paye Mustafa Ya Ilahi! Tu Murshid ke sadqe deewana bana de! Shehanshah-e-Baghdad ka Ya Ilahi! Mujhe sunniyat par tu de istiqamat, paye Shah-e-Ahmed-e-Raza Ya Ilahi! Tu angrezi fashion se har dam bacha kar, mujhe sunnaton par chala Ya Ilahi! Mutti' apne Murshid ka mujh ko bana de, mein ho jaaun in par fida Ya Ilahi! Mutti' apne maa baap ka mein karoon ga, har ik hukm laaun baja Ya Ilahi! Sada peer o murshid rahein mujh se raazi, kabhi bhi na hon yeh khafa Ya Ilahi! Bana de mujhe ek dar ka bana de, mein har dam rahoon ba-wafa Ya Ilahi! Tujhe wasta Syeda Aamina ka, bana aashiq-e-Mustafa Ya Ilahi! Mujhe maal o daulat ki aafat ne ghera, bacha Ya Ilahi bacha Ya Ilahi! Na de jaah o hashmat na daulat ki kasrat, gada-e-Madina bana Ya Ilahi! Mujhe ghibat o chughli o badgumani, ki aafaat se tu bacha Ya Ilahi! Yeh dil gor-e-teera se ghabra raha hai, paye Mustafa jagmaga Ya Ilahi! Baqi-e-Mubarak mein tadfeen meri, ho, Hasnain ka wasta Ya Ilahi! Tu Attar ko chashm-e-nam de har dam, Madine ke gham mein rula Ya Ilahi!