Hai dil ko teri justuju Ghaus-e-Azam
Zuban par teri guftagu Ghaus-e-Azam
Tera zikr gulshan mein bulbul ke lab par
Gulon mein tera rang-o-bu Ghaus-e-Azam
Nazar mein koi khubru kya samaye
Basa meri aankhon mein tu Ghaus-e-Azam
Hain suraj agar Mustafa chand hai tu
Hain jalwe tere char su Ghaus-e-Azam
Laga zakhm tegh-e-ma'asi ka dil par
To rahmat se kar de rafu Ghaus-e-Azam
Madad kar main hoon natwan aur tanha
Hain a'ada bahut jangju Ghaus-e-Azam