Hai shahd se bhi meetha Sarkar ka Madina
Kya khoob mehka mehka Sarkar ka Madina
Ham ko pasand aaya Sarkar ka Madina
Kyun ho na apna naara "Sarkar ka Madina"
Har shehr se hai achha Sarkar ka Madina
Jannat se bhi suhana Sarkar ka Madina
Be-kas ka hai sahara Sarkar ka Madina
Be-ghar ka hai thikana Sarkar ka Madina
Kuhsar-e-dilkusha hain sehra bhi dilruba hain
Husn o jamal wala Sarkar ka Madina
Dono jahan se pyara, kaun-o-makan se pyara
Har aankh ka hai tara Sarkar ka Madina
Jannat ka husn sara is mein simat kar aaya
Hai husn hi sarapa Sarkar ka Madina
Har samt rehmaton ki barsaat ho rahi hai
Hai rehmaton ka darya Sarkar ka Madina
Furqat ki aag mein jo dil ko jala rahe hain
Un ko dikha khudara Sarkar ka Madina
Ae zair-e-Madina! Dil ko sambhal lena!
Dekh aa gaya Madina Sarkar ka Madina
"Pirs" pe marnewale! "Pirs" ko bhool jata
Tu bhi jo dekh leta Sarkar ka Madina
Hai lakh lakh maula har aan shukr tera
Ek baar phir dikhaya Sarkar ka Madina
Phoolon ko choomta hoon, kanton ko choomta hoon
Lagta hai mujh ko pyara Sarkar ka Madina
Jee chahta hai mera har sheh yahan ki choomoon
Kaisa hai meetha meetha Sarkar ka Madina
Meri nazar ko bhaye duniya ka husn kaise?
Ankhon mein hai samaya Sarkar ka Madina
Allah! Mustafa ke qadmon mein maut dede
Madfan bane hamara Sarkar ka Madina
Attar ki dua hai taqdeer mein khudaya
Likh de faqat Madina Sarkar ka Madina