Hain saf-aara sab hoor-o-malak aur ghulaman-e-khuld sajate hain
Ek dhoom hai Arsh-e-Aazam par mehman-e-Khuda ke aate hain
Hai aaj falak roshan roshan, hain taare bhi jagmag jagmag
Mehboob-e-Khuda ke aate hain, mehboob-e-Khuda ke aate hain
Qurban main shaan-o-azmat par soye hain chain se bistar par
Jibraeel-e-Ameen haazir ho kar Meraj ka muzda sunate hain
Jibraeel-e-Ameen Buraq liye jannat se zameen par aa pahunche
Baarat farishton ki aayi Meraj ko dulha jaate hain
Hai khuld ka jora zeb-e-badan rehmat ka saja sehra sar par
Kya khoob suhana hai manzar Meraj ko dulha jaate hain
Hai khoob fiza mehki mehki chalti hai hawa thandi thandi
Har samt hai noorani Meraj ko dulha jaate hain
Ye izz-o-jalal Allah! Allah! ye auj-o-kamal Allah! Allah!
Husn-o-jamal Allah! Allah! Meraj ko dulha jaate hain
Deewano! tasawwur mein dekho! Asra ke dulha ka jalwa
Jhurmat mein malaik lekar unhein Meraj ka dulha banate hain
Aqsa mein sawari jab pahunchi Jibraeel ne barh ke kahi takbeer
Nabiyon ki imamat ab barh kar Sultan-e-Jahan farmate hain
Woh kaisa haseen manzar hoga jab dulha bana Sarwar hoga
Ushaaq thodkar ke bas rote hi reh jaate hain
Yeh Shah ne payi sa'adat hai Khaliq ne ata ki ziyarat hai
Jab ek tajalli padti hai Moosa to ghash kha jaate hain
Jibra'eel thehar kar Sidra par bole jo badhe hum ek qadam
Jal jayenge saare baal-o-par ab hum to yahin reh jaate hain
Allah ki rehmat se Sarwar pahunche Dana ki manzil par
Allah ka jalwa bhi dekha deedar ki lazzat paate hain
Me'raj ki shab to yaad rakha phir Hashr mein kaise bhoolenge
Attar isi umeed pe hum din apne guzaare jaate hain