Hajj ka sharaf ho phir ata Ya Rabb-e-Mustafa
Meethe madina phir dikha Ya Rabb-e-Mustafa
Mil jaye ab rihayi firaq-e-Madina se
Ho yeh karam, ho yeh ata Ya Rabb-e-Mustafa
De de tawaf-e-khana-e-Kaaba ka phir sharaf
Farma yeh poora mira dua Ya Rabb-e-Mustafa
Rukh so-e-Kaaba haath mein Zamzam ka jaam ho
Pi kar main phir karun dua Ya Rabb-e-Mustafa
Phir qafila Ilahi bane "chal Madina" ka
Ahmad Raza ka wasta Ya Rabb-e-Mustafa
Sab ahl-e-khana saath mein hon kaash! Chal pade
So-e-Madina qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Hon saath mein nawasiyan aur un ke walidain
Chal de madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Hon saath pote potiyan aur un ke walidain
Chal de madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Deewane Mustafa ke mere saath saath hon
Chal de madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Rooti rahe jo har ghadi ishq-e-Rasool mein
Woh aankh de de ya Khuda Ya Rabb-e-Mustafa
Ae kaash! Mujh ko khwab mein ho jaye ek baar
Deedar-e-Shah-e-Anbiya Ya Rabb-e-Mustafa
Hon khatam mere mulk se takhreeb-kariyan
Aman-o-aman ho ata Ya Rabb-e-Mustafa
Duniya ke jhagde khatam hon aur mushkilen talen
Sadqa Hassan Hussain ka Ya Rabb-e-Mustafa
Go jaan ko khatra hai meri imdad par hai tu
Phir dushmanon ka khauf kya Ya Rabb-e-Mustafa
Is tarah phaile neki ki dawat ke nek ho
Har ek chota aur bada Ya Rabb-e-Mustafa
Be-pardagi ka khatma ho auraton ko de
Zewar-e-haya-o-sharm ka Ya Rabb-e-Mustafa
Har mah-e-Madani qafile mein sab karen safar
Allah! Jazba kar ata Ya Rabb-e-Mustafa
Ahkam-e-shara par mujhe de de amal ka shauq
Pikar-e-khuloos ka bana Ya Rabb-e-Mustafa
"Qufl-e-Madina" lab pe ho aur yeh sharaf mile
Har dam karun teri sana Ya Rabb-e-Mustafa
Ho jayen Maula masjiden abad sab ki sab
Sab ko namazi de bana Ya Rabb-e-Mustafa
Gheebat se aur tohmat-o-chughli se door rakh
Khugar tu sach ka de bana Ya Rabb-e-Mustafa
Ujb-o-takabbur aur bacha hubb-e-jah se
Aaye na paas tak riya Ya Rabb-e-Mustafa
Amraz-e-isyan ne mujhe kurnim jaan diya
Murshid ka sadqa de shifa Ya Rabb-e-Mustafa
Joon hi gunah karne lagun, tere khauf se
Fauran uthun mein tharthara Ya Rabb-e-Mustafa
Teri khashiyat aur tere dar se, khauf se
Har dam ho dil yeh kanpta Ya Rabb-e-Mustafa
De naz'a-o-qabr-o-hashr mein har ja aman, aur
Dozakh ki aag se bachaya Ya Rabb-e-Mustafa
Aankhon mein jalwa-e-Shah ka aur lab pe naat ho
Jab rooh tan se ho juda Ya Rabb-e-Mustafa
Ae kaash! Zeer-e-Gumbad-e-Khizra paye ziya
Imaan par khaatma ho ya Rab-e-Mustafa
Mujh ko Baqi-e-Paak mein madfan naseeb ho
Ghaus-ul-Wara ka wasta ya Rab-e-Mustafa
Jis dam woh aayen qabr mein, meri zabaan par
Bas marhaba ki ho sada ya Rab-e-Mustafa
Hashr mein Pul-e-Sirat pe mere qadam kahin
Jayen phisal na ya Khuda ya Rab-e-Mustafa
Firdous mein paros de apne habeeb ka
Maula Ali ka wasta ya Rab-e-Mustafa
Tu be-hisaab bakhsh de Attar-e-zaar ko
Tujh ko Nabi ka wasta ya Rab-e-Mustafa