Hamare dil ke aaine mein hai naqsh-e-Muhammad ka
Hamari aankh ki putli mein hai jalwa Muhammad ka
Khas-o-khashak se badtar hai begana Muhammad ka
Use hoshiyar samjho jo hai deewana Muhammad ka
Tumhare hi liye tha ae gunahgaro siyah karo
Woh shab bhar jagna aur raat bhar rona Muhammad ka
Jigar hota hai tukre tukre jis dam yaad aata hai
Woh shab bhar jagna aur raat bhar rona Muhammad ka
Ghulaman-e-Muhammad ke saron se baar-e-isyan ko
Ura le jayega ik aan mein jhonka Muhammad ka
Siyah hain nama-e-aamal apne garcha ae zahid
Magar kafi hai dhulne ke liye chheenta Muhammad ka