Hamare haal-e-dil se tum to waqif Khudawand-e-do alam ki qasam ho
Andhera lahad mein hai aah! chaya meray noor-e-Khuda chashm-e-karam ho
Isay kya khauf-e-mahshar ho ke jis ka teray dast-e-shafa'at mein bharam ho
Mita sakta nahin koi bhi is ko ke hami jis ka khud Shah-e-Umam ho
Gham-e-Mehboob mein roti rahay jo mujhe ya Rab ata woh chashm-e-nam ho
Shaha jitne bhi deewane hain tere
Kisi ka jazba-e-ulfat na kam ho
Jo tum chaho yaqeenan door mujh se
Shaha uqba ka har ranj-o-alam ho
Kare aankhon se sail-e-ashk jaari
Ata hijr-e-Madina ka woh gham ho
Sada karta rahoon sunnat ki khidmat
Mera jazba kisi soorat na kam ho
Karein Islami behnein shar'i parda
Ata unko haya Shah-e-Umam ho
Dikha do sabz gumbad ki bahaarein
Shaha Attar par ab toh karam ho
Madina